March 19, 2024

How to Get Rid of Pimples from Face – Muh se pimple kaise saaf honge

pimples
Pimpleas Kaise Hataye
pimples /acne ki Chehre par Aane ki kaafi Sari wajah hoti hai , jis mein sab se Khas hota hai hormonal imbalance. Acne ko saaf karne ke liye aap kaafi saare gharelu nuskhe azma sakte hai.LEKIN SAB SE ZAROORI HAI CHEHRE KO SAAF RAKHNA , aap din mein 2 baar chehre ho ache salicylic acid face wash (spongy- sal ) se dho sakte hai ye pimple control karne mein kaafi madadgar hai. Face wash ko chehre par lagakar 30 sec ke liye chod de aur fir pani se dho lein. Yaad rakhiye jab acne ho to unhe scrub na kare iss se pimple our aggravate ho jayenge. Acne ka main karan hota hai hamare skin mein zyada sebum produce hona, jo pores ko block kar data hai. agar aap routine mein Chehre ko clean karenge , raat ko sone se pehle make up utarenge to aap acnes se bach sakte hai .
Pimples Kaise Hataye
Aap tamatar ka rass bhi apne chehre par lagakar rakh sakte hai . aur usse 30 min. ke baad saaf pani se dho de. Tamatar mein bharpur matra mein Vitamin C,A, aur K hote hai jo acne se nijat milne mein bahut sahayak hai. aur iska added benefit ye hai ki tamatar ke rass se acne scars bhi mit jaate hai
Pimples aur daag dhabbe kaise hataye
Aap apne doctor se baat kar ke medicine bhi le sakte hai , pimples ke liye sab se zyada prescribe ki jane wali tubes hai clindamycin aur benzoyl peroxide . Benzoyl peroxide ka use kewal raat mein karna chayie, ye pimples ko jaldi sukhane mein madad karti hai.,Hamari skin in tubes ki wajah se sensitive ho jati hai , isi liye Din mein sunscreen zarur lagaye kyunki benzoyl peroxide se skin kafi dry aur patchy ho sakti hai (peel )aur sunscreen hamari skin ko sabhi harmful rays se protect karti hai. Jin logo ki skin acne prone ho unhe spf 30 se zyada spf wala sunscreen face ke liye nahi use karna chayie, kyunki vo aapke skin pores ko block kar sakta hai , jo pimples ki first stage hot hai.
Pimples Removal on Face
Ezanic 20 gel bhi acne/pimples saaf karne mein achi medicine hai , ye bhi acne ke bacteria ko markar inflammation ko khatam karti hai.Aur pimples saaf ho jate hai.
In sab medicines ke saath achii diet bahut zaruri hai , aap green leafy vegetables aur fruits apni diet mein zaroor shamil kare. Aur din mean 3 litre pani zarur peejiye. Yaad rakhiye aapko healthy eating ko apna lifestyle banana hoga. Apne stomach ko saaf rakhna bhi pimples se bachne ka ek bahut hi acha tarika hai.
Gharelu nuskhe ,over the counter medicines ke ilava , aap apne Dr. se Acne peels bhi karva sakte hai , jo pimples ko jaldi sukhane mein madad karte hai.
Note: koi Bhi Medicine Shuru karne se Pehle apne Dr. ki Rai Zarur lein.
Please consult a Dr. Before taking any Medicine .

3 thoughts on “How to Get Rid of Pimples from Face – Muh se pimple kaise saaf honge

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *